Wednesday, 29 May 2013

Baadal, Raat aur Suraj

Dekha kal aakash to kai rang bikhare the
Dhalte suraj pe badlon ke ghane pehre the
Suraj to kho chuka tha pashchim k aagosh mein
Nahin tha jaise wo khud ke hi hosh mein
Uski kirane phut rahin thi badlon se aise
Tod dena chahti ho baadlo ki bandishein jaise

Kab tak badal aur raat suraj ki kirno ko yun rok payengi
Hogi subah aur raat ki ghata chhat jayegi
Fir se kirne roshan hogi dharti par
Aur raat ko munh chidhayengi…..

3 comments:

  1. Aur dilon mein chupi muskurahatein!! Hothon pe khil jayengi..haan hat jayenge badal subha ki kirne kuch naya layenge...too good....i love u rhythm in words...badhiya hai

    ReplyDelete
  2. Haan hat jayenge badalein aur subha rang naya layegi...dilon mein chupi muskurahatein hothon pe khil jayengi....love the rhythm and flow..feel is surreal and I loved it..<3

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you so much dear!! It means a lot :)

      Delete