Mere kamre ki baayin oar ek khidki hai
Khidki pe ek money plant ka paudha lagaya tha tumne..
Sookhta ja raha hai wo
Roz paani bhi deti hu mai use
Teri yaadon se khudh ko seenchti rehti hu
Ik roz uski mitti mei khaad bhi daali thi
Haan uss roz tujhko maine fir aawaaz lagayi thi
Sookhi huyi pattiyan uski mai saaf krti rehti hu
Tere naam pe aksar main kuch nazeim likhti rehti hu
Usi khidki se aksar mai dekhti hu ugta sooraj
Pehle aasman saaf sa rehta hai
Bohot sukoon bhara kuch dhula dhula sa lagta hai
Fir naarangi ho jata hai
Poora aasman sooraj ke aane ke rang mei rang jata hai
Jaise mai rang si jaati hu aksar tere pyar mei
Wo khidki paudha aur sooraj yaad karte hain tujhe
Lekin sab badal gaya hai
Paudha itna jawan nhi bacha hai ab
Tere mere rishtey ki tarah
Din ba din sookhta hi ja raha hai..
No comments:
Post a Comment