Ufak par chaand dekha tha ek roz..
Chaudhanvi ka to nhi tha..
Magar tha behad khoobsurat
Pehle kuch naarangi tha
Fir safed chamak raha tha
Tere ghr ke saamne ki jheel se ugta hua dekh raha tha use..
Tu bhi kuch yunhi khoobsoorat lagti thi jab subah so ke uthti thi..
Bikhre se baal.. Aadhi khuli aankhein
Zabaan to khulti bhi nhi thi tumhari.
Mere chaar baar kuch kehne par tum ek baar bade anmane se bs huun mei sar hilati thi..
Fir bistar ke bagal ki mez se bottle utha ke paani pi ke kuch bolti thi tum..
Wo bhi sirf haan ya nhi..
Wo bhi sirf haan ya nhi..
Waisa hi alsaya sa lagta hai ye chaand bhi,
Kuch dheere dheere hi chadh raha hai aasman mei..
Jaise ye is raat ke khatam hote hote kho jayega meri nazron ke saamne se
Tum bhi kahin kho gayi ho..
Aao na.. kabhi iss jheel se tum fir se bahar niklo
Jaise mai iss chaand ko taktaa hun,
waise hi tumko niharunga raat bhar..
Teri khoobsoorati ki chaandni mein kho jaunga
No comments:
Post a Comment