Thursday, 25 September 2014

Bechain Baarish!!!

Kamre ki khidki se lagi kursi pe baith ke ek kitaab padh rahi thi mai ik roz..
Ke achaanak se khidki ke bahar ka mausam badal gaya aur baarish shuru ho gayi..
Mera mann ek chhote bachhe ki manind khil gaya
Aur uchhal uchhal ke baarish ka maza lene laga 
Aur mai chupchaap khidki ke bahar baarish ko dekh rahi thi
Magar wo baarish shaant nhi thi
Bohot bechaini si bhari thi usmein
Jaise ek toofaan samet rakha ho usne khud mei
Baarish dekh ke jo shanti mehsus hoti thi mujhe, us din waisa nhi tha
Ek gubaar tha, gusse ka.. ya gum ka, ye samajh nhi aa raha tha 
Baarish ki ek ek boond jaise kuch kehna chah rahi thi.. kuch batana chaah rahi thi

Ya usne dekh liya tha kisi  ko mushkil mei, aur keh rahi thi ke bacha lo use

Lekin kitni der pukarti wo kisi ko..
Kitni der..

Aur fir khatam ho gayi.. shant ho gayi
Ruk gaya wo toofaan..

Aur chhod gaya peechhe ek gehra sannata 
Jiske aage baaki saare shor shant ho chuke the


Baarish tham gayi thi...
Toot chuka tha uska dum..


3 comments:

  1. Very nice thought and sublime feeling. Your poem is real and original. Congrats!

    ReplyDelete
  2. Very nice thought and sublime feeling. Your poem is real and original. Congrats!

    ReplyDelete
  3. baarish mein shaamil
    Rooh thi apani
    barashta raha paani
    Riste ghav ke maanind ..

    ReplyDelete