Thursday 21 February 2013

Humne sitaron ko nyota diya tha kl



Humne sitaron ko nyota diya tha kl
humare ghr aake theher jaayein ek raat
pehle to mana kr rahe the,
muh bana rahe the ajeeb ajeeb sa..
fir jaane kya soojhi unko, aur
achaanak hi aa k baith gaye mere aangan mein..
shayad mera udaas chehra dekh liya tha,
mere chehre pe unki na ka gum bhi padh liya tha,
ya fir shayad mehsus kr liya tha sannata mere ghr ka.

kuch apni bhi kehne lage
kuch mujhe kehne ko bhi kaha unhone.


ajnabi nhi the wo tare zara se bhi mere liye
roz hi to dekhti hu inhe timtimaate door aasmaan mein
kitna sookon dete hai ye din bhar ki thaki aankhon ko
koi sapne bun leta hai.. koi shikayat kr leta hai..
kitne apno ko dhundte nihaarte hain inki taraf,
aur kitne apno ko pane ki duayein bhi krte hain inhe dekh kr.

raat bhar yunhi gushup karte huye
kab raat guzar gayi aur kb subah ho gayi pata hi nhi chala
maine fir kaha unse ab thoda aaram tum bhi kr lo
mera bistar khaali hi pada hai aaj yahin so lo


shayad wo bhi mujhe apna samajhne lage the
kuch pal k liye hi sahi, thodi der aur rukna chah rahe the
isliye ruk gaye mere kehne par.

itne maasoom lag rahe the soye huye
ek halki si muskaan bhi thi unke chehre par
fir mujhe khayal  aaya k ek khushi to mere dil mei bhi thi
waisi hi muskaan to mere chehre pr bhi thi.

ab roz aane ka wada le lungi mai bhi inse jaane se pehle
haan kam se kam khair khabar to milti rehni chahiye naye doston ki..

Humne sitaron ko nyota diya tha kl
humare ghr aake theher jaayein ek raat
pehle to mana kr rahe the,
muh bana rahe the ajeeb ajeeb se
fir jaane kya soojhi unko aur
achaanak hi aa k baith gaye mere aangan mein..


2 comments: