Sunday 1 September 2013

::::

Safar anjaan nhi hota, insaan naadaan hota hai..
Apno se khud ko door kar gairon ke liye rota hai..

Na darr tu dekh ke aadam ki buri fitrat ka tamasha
Har raavan mei bhi Brahmaa ka kuch ansh daan hota hai

Aawaz zakhmi hai ehsaas bhi be-dam hai..
Aankhon mei aksar chhupa hua koi toofaan hota hai

Laakhon ghum liye kyu rote ho umr bhar
Bura waqt khuda ka humko diya imtehaan hota hai

Ek pal tha kal, jo pakda tha hath mei, mutthi mei band
Fisal jata hai, waqt mutthi mei band ret sa hota hai

Kitni tasveerein bana lete the, mita dete the, baadlon se aasman ke canvas pe
Bachpan ka khel tha ye, dilon mei basi tasveerein mitana kahan aasaan hota hai..

Mat chhedo khaamoshi ko yun waqt bewaqt 'Meen'
Zalzala aane se pehle aur guzarne k baad samandar shant hota hai..

No comments:

Post a Comment