Saturday 24 May 2014

Faisla thik tha..

Ek chhota sa kaam kaha tha usko ik roz
Aur usne hans kar taal diya tha
Fir jab naaraz ho kar maine baat karna band kar diya tha
To maafi to maang li thi lekin kaam fir bhi nhi kiya

Kaam aisa nhi tha ke karna hi pade
Lekin, zaruri tha mere liye
Uske liye
Usko zindagi mei aage badhne ke liye

Fir kuch mahinon baad maine fir jab usko yaad dilaya
Fir bhi usne taal diya
Maine fir se naraz hoke bola 'mohabbat nhi hai na tumko mujhse jo itni si baat nhi maante'
Usne fir maafi maangi
Lekin baat aayi gayi hi reh gayi..

Aaj achanak itne saalon ke baad kuch dekha maine..

Mera wohi kaam... aaj kar diya usne

Nhi, koi ghum nhi mujhe
Kisi aur ke kehne pe kiya hoga
Ya khud se hi kiya hoga
Ya aaj sahi samay aa gaya hoga uska
Shayad zindagi mei ruka hua sa kuch chal pada hoga
Mai khush hu uske liye...
Magar aaj aisa laga mujhe

Shayad, alag hone ka faisla thik tha..

No comments:

Post a Comment