Tuesday 16 July 2013

Wo.....ya fir shayad mai

Un muskurati aankhon ka haal kisi ne na jana
Uss rote huye dil ki khair kisi ne na poochhi
Uss patthar dil mei jhank kar kisi ne na dekha 
Raat bhar royi huyi aankhein kisi ne na dekhi

Kya dard hai jo ladta hai us'se raat bhar
Kya dard hai jo aankhein chhupaati rahi umr bhar
Kya dard hai jo lab tk kabhi aaya hi nhi
Kya dard hai jo aaj tk koi samajh paya hi nhi

Har aas us'se judi, use dard hi deti hai
Har nazar uski taraf uthi, use tod hi deti hai
Wo sawal jinka jawab uske khud k pas hi nhi
Vo khamoshi jo uski rooh ko jhanjod hi deti hai

Dhoondti firti hai wo ek shant si jagah
Par har jagah usse bs shor sunayi deta hai
Ye shor jo humesha uske saath hota hai
Ye shor jo kahin aur nhi uske andar hi rehta hai

Khud se bhagte bhagte duniya kahin peechhe hi reh gayi
Beete palon ki yaadein magar usmein hi kahin reh gayi
Akelepan mei ye parchhaiyan use darati hain
Use kheench k beete dino mei le jaati hain

Khud se ladayi itni aasan nhi hoti
Umr guzar jaati hai mushkil aasan nhi hoti

Haar k bhi khud se haar jaate hain
Jeete to bhi khud ko hi hara k jeet paate hain..

1 comment: